Poetry Recital: Eid ka Chand by Ahmed Wasi

 

Title: Eid ka Chand
Poet: Ahmed Wasi
Book: Jugnu mere sath sath
Voice: Abu Turab Naqvi

Transcript:

Wo ek chhoti si bachchi
farak pahne hue
purani yadon ke aangan mein khela karti thi
phir uske baad hi kehushbu mein dhalke milti hai

na jane waqt ko kya ho gaya tha jab tujhko
saja ke doli mein rukhsat kiya tha rotey hue
na jane kiska amal chal gaya hawa bankar
hatheliyon ki hina sookhne nahin payi
lahoo ke kanpte qatrey mile qaza bankar

har ek saal yunhi chandrat honey par
meri bujhi bujhi aankhon mein kitne eid ke chand
chamak chamak ke mere dil mein doob jate hain!





You Might Also Like

0 comments

Note: only a member of this blog may post a comment.